Friday, January 13, 2012

saransh

Aaj humne shayad akhri bar bat ki, main nhi chahta tha aisa kabhi ho, wo bhi nhi chahti thi aisa kabhi ho, par kuch logon ki jagah sirf dil or yadon me hi hoti hai, zindagi se unka koi shayad kuch lena dena nhi.
Ek saal hone ko aya tha hamare 3 mahine k sath ko pura hue, un sath k kuch palon ki chaap jyada gehri thi dimag pe, par us ek chot ne bikher k rakh dia sapno ki duniya ko.
Ye hum dono ko pta hai jo
hua bhaut galat hua. Jo hum abhi kar rahe hain wo b galat hai aur shayad shi bhi, sath to hum khush reh na payein aur dur bhi.. par ek dusre ko dukh dene ka silsila thamna hi behter hoga.
Jo main uske lie chahta hun, wo bhi mere lie wohi chahti hai par ajeeb ye hai k, jo main chahta hun wo nhi chahti aur jo wo chahti hai main chah kar bhi nhi chah sakta.
Ise zindagi ka ek aur ansh kahun ya zindagi ka saransh, samajhne me waqt lagega aur waqt hi to aisi cheez hai jiski kami nhi ho sakti is zindagi me. kuch gine hue palon se bandha samay yehi ishara karta hai, kash unhi haseen palon me zindagi guzar jati!